Bohot dino ke baad… khushi se saamna hua…
Usse guftagu ka silsila jo shuru hua...
to din se raat ho gayi
Khushi ne kuch apni kahi…kuch meri suni…
Par kisey pata tha… ye duri zyaada samay tak na reh payegi…
Nana ki kahaniyon mein yaad hai mujhe
Tumhaara zikr aksar aaya karta tha…
Tab hum bachche the… nadaan the…
Khushi darasal undino aam hua karti thi…
Jaise jaise bade hue tab maloom pada…
Ye duniya bikau
hai… par khushi nahi…
Uss raat maine
or khushi ne ghanto tak baatein ki...
Baaton ka silsila jab aage bada
To phir dukh ka zikr aana bhi to lazmin tha...
Khushi ko apna samajh kar maine bataya…
Woh dinn bohot mushkil the bina uske
Door door tak umeed ka bhi namon nishan nahi tha…
Din tha jo raat ka intezaar karta tha
Aur raatein thin
jo din jitni lambi lagne laga karti thi
Kaam mein khud ko kaafi mashroof rakha maine ...
Par maine
zindangi se bhi rishta banaye rakha
Issi ummeed mein
ki khushi se phir mulakaat hogi...
Uss din... bohot
dino baad khushi se saamna hua
Or guftagu ka silsila yunhi chalta gaya ….