Monday, March 12, 2012

Chehra

thodi si khushyan...
thode sapne jeb mein...
thode se sikke...
kuch paise jeb mein...

kagaz ke chan tukde...bikhre huye...
samet kar phir tasveer mein badle hue...
kalam se nikli shyahi jitna gehra lamha...

rail ki patri ki tarhan badta aur ghatta hai...
andheri gufaon aur gehre ghaddon ki tarhan...
mujhe sab mein udasi se bhara chehra dikhta hai...

2 comments:

unsaid meanings said...

love it shubhi...:)

sukriti said...

kya metaphors hain.. wah!!
Hamari situations kitni bhi different kyun na ho but I always relate to you.