Friday, October 26, 2012

Saamna


 Bohot dino ke baad… khushi se saamna hua…
Usse guftagu ka silsila jo shuru hua...
to din se raat ho gayi

Khushi ne kuch apni kahi…kuch meri suni…
Maine kaha… laga tha yun… ki hum ab phir na milenge…
Par kisey pata tha… ye duri zyaada samay tak na reh payegi…

Nana ki kahaniyon mein yaad hai mujhe
Tumhaara zikr aksar aaya karta tha…
Tab hum bachche the… nadaan the…
Khushi darasal undino aam hua karti thi…

Jaise jaise bade hue tab maloom pada…
Ye duniya bikau hai… par khushi nahi…

Uss raat maine or khushi ne ghanto tak baatein ki...
Baaton ka silsila jab aage bada
To phir dukh ka zikr aana bhi to lazmin tha...

Khushi ko apna samajh kar maine bataya…
Woh dinn bohot mushkil the bina uske
Door door tak umeed ka bhi namon nishan nahi tha…

Din tha jo raat ka intezaar karta tha
Aur raatein thin jo din jitni lambi lagne laga karti thi
Kaam mein khud ko kaafi mashroof rakha maine...
Par maine zindangi se bhi rishta banaye rakha
Issi ummeed mein ki khushi se phir mulakaat hogi...

Uss din... bohot dino baad khushi se saamna hua
Or guftagu ka silsila yunhi chalta gaya….



5 comments:

vC said...

bahut khoob..

really loved it..simple and subtle..

ab hum aage padhenge!

Shipra said...

meri kavyitri... wah wah :) Beautiful, Keep writing!!

ARPIT said...

Really beautiful :)

sukriti said...

An intense emotion very simply expressed. :)
Good going girl!!

Eeshan Chaturvedi said...

Beautifully written! Has a Gulzar-ish tinge to it. Melancholic reference to happiness is ironical, and really binds the thought.
Beautiful.